Waqt Pe Aaye Armaan
Sadiyon Puraani Kasak
Sab Mila Ke Ye Deewaan Banaa.
Kahte They Dhamaake jaroori hain, hukmraan ko jagaane ke liye
Hai Waqt, Ab Hukmraan to kya Awaam bhi nahi Jagti
Aaaka bure awaam buri buri har wo shai hai jisme ham nahi
Jab hum mila taaqat me, lootne me AAP bhi kam nahi
Dete ho duhaai apne sarfaroshi ki
kitne sar farosh hue tumhare junoon me iski koi khabar nahi
Hame Dikhaye Sabz Baag Kayi, Dete rahe roj saugaat kayi
sapna toota to aankhon me thi dhool
nazar nahi aaya apna samaan koi
Iraade they unke bade nek par thi chaman pe nazar
Jaise hi kaliyan phooti Maali bhawra ban gaya
Tizaarat kar di, un kachhi kaliyo mki
jo pahle neta tha wo dhanwaan ban gaya